Thursday, April 16, 2009

Aamchi Mumbai!



Machaltee aashayyein, thirakktey kadam,

kuch boondey pasiney ki, kuch cutting chai paani kum,

uchaltey sapney, bade karam,

chaka chond ki zindagi,

armaan behizaab, muskuraatey gham,

lahu ke samjhautey, bhadaktey ashq,

saja bazaar umeedo ka ya numaish dardo ki,

ek andhera kuan, ya aashaon ka bawandar,

koi bikta hua aashiyana, ya chaltey waqt ka fasaana...

koi kahey issey apna, koi paraaya,

yeh tez maanjey se lipti patangon ka aasamaan,

ye saccheyy jhooton ki dagariya,
aamchi Mumbai Nagariya.


-Pushkaraj Shirke
In retrospect of the early nineties of the city I've watched burn a generation alive (1989-1993)

Top 10 Articles this Month:

Popular Posts

Blog Archive