Photo by Ahmed Aqtai from Pexels
Aur phir aaya Ramzan;
is baar kuch alag rangon mein,
Chaand toh nazar aaya wahi,
Magar duniya thi badli hui.
Sajaa thaa shayad koi dargah,
Par har ghar tha apna masjid,
Apnon mein hi thi sehri,
Apnon mein hi iftaar.
Jahan saath galey milkar
Manaaya jaata thaa tyohaar,
Iss baar ghar band rehkey
Sabney Jataaya pyaar.
Sar salamat toh pagdi pachaas,
Yehi yaad rakhey humney bhari ek aas.
Par phir bhi hui wohi khushi
Jab bujhi din bhar ki pyaas,
jashn tha hamaara roza,
yeh sajda-e-ramzan.
Jinka thaa yeh pehla roza,
Ek alag tha yeh ehsaas,
Par kya hota hai ramzan
Yeh samjhna thaa aasaan.
Jab kari sab ne sacchi neki
Banney sab allah ki santaan,
Jab saath milkey, bina dekhey koi fark,
Hum sab saath banney insaan.
Na hindu, na sikh, na isaai, na musalmaan,
Yeh aisa gazab ayaaya ramzaan,
ke hum sab ko mila ek aisa mauka
ke hum sab saath baney insaan.
Aao sajda karey yeh ramzaan,
Saath bannker hum insaaan.
-Pushkraj Shirke
No comments:
Post a Comment